Job ka ek link WhatsApp group me daalo. Candidate apne phone par Hindi me bolkar interview dega. AI har jawab padhkar sabse sahi log upar rakh dega, aap sirf unhe call karo.
Candidate ko koi app download nahi karni. Link khola, mic dabaya, bol diya.
Kaunsa kaam, kitni salary, kya chahiye. AI us kaam ke hisaab se 5 sawaal khud bana deta hai. Pasand na aaye to badal do.
WhatsApp group, Facebook, dukaan ke bahar poster. Candidate link kholta hai, sawaal sun sakta hai, aur bolkar jawab deta hai.
Har candidate ko score milta hai aur do line me wajah. Shortlist wale ko ek tap me WhatsApp ya call.
Har candidate ke saath AI likh deta hai ki wo kyun theek hai, kahan kami hai, aur phone par unse agla sawaal kya poochna chahiye.
Faisla sirf kaam par hota hai: experience, skill, license, kab join karenge. Naam, jaati, dharm, lehja ya grammar AI ko dikhta hi nahi, na uspar number katta hai.
Jahan aadmi kaam se pehchana jaata hai, degree se nahi.